Ishq ne apna jaadu phir chalaya,
Ek hamare hi jaise ko sab kuch bhulaya,
Nain hue bandh,
Dhadkan badi zabardast…
Yeh mohabbat ka nasha badhta hi jaaye,
Yeh diwaangi ka suroor chadta hi jaaye,
Yeh junoon hain apna asar hi dikhaaye,
Yeh rog hain jaan lekar hi jaaye…
Wo pal jab hanse hum ikathe,
Wo pal jab thama unhone hamein girte-girte,
Wo pal jab raat ki hui subah baat karte-karte,
Wo pal jab hue pass yuh hi safar par nikalte…
Kya kya hum bhoolein,
Kaun kaunse ehsaas ko chupaaye,
Kabhi socha nah kal ka,
Shaayad isliye unko rok nah paaye…
Pooch baithte hain wo humse, is pyar ki vajah,
Pooche koi unse,
Khyaal karte toh nah hote, hum hain jahan,
Jao, rakho dil pe ek baari apna haath,
Mohabbat kar, chalo kissi ke saath,
Tab hoga yeh ehsaas,
Yeh ishq na jaane dimaag ki koi bhi baat…